Padhane ke Tarike - E NEWS

E NEWS

Todays News Website Brings You The Latest Hindi/English Breaking News Studios In India. Stay Tuned To The Latest News Stories From India And The World.

Breaking

Home Top Ad

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Monday, 12 October 2015

Padhane ke Tarike


Dosto sabse pahle pathne mai apko batana chahunga ki pathne ka koi bishesh tarika nahi hota hai. yah aap ki kisi bhasha me bises ruchi ya lagaw ka natija hota hai jo aap ko kisi bhi subject se lagaw paida karta hai. aap ne dekha hoga ek kam padha likha inshan bhi subhah-subhah paper padhte mil jayega. iska yah matlab nahi ki wah aadmi bahut padhane wala hai. Uske is padhai ka ekmatr maksad ho sakta hai apne aap ko apne aas pas hone wali ghatnao se parichit rakhana. Aap jis subject ko pasand karte hai aur use jis tarah bhi samajh me aap ko aata hai mere hisab se wah aap ka sabse achcha tarica hai. Aap kabhi mahsus karte hoge kisi subject ko dekhte hi padhne ka man karta hai, kisi paper ke topic ko dekhte hi usko bistar se padhne ka man karne lagta hai. Aap jab bhi kisi subject ko padhte hai aap ke dil se ek ichchha jagata jo us subject ko pathne ke liye prerit karta hai aur aap ko lagta hai ki mai is suject ya is topic ko kitna jalt mai is padh jau. par iske biprit kabhi-kabhi hum kisi mahatwapurn subject ko bahut hi laparwahi se lete hai aur use nahi padhte. aisa sirf is liye jota hai ki hme us suject, topic se bises lagaw nahi hota.
Dosto hum padhne ke tarike par bat kar rahe the to hum apne topic par aate hai. Padhi sirf apne ander ki ichcha hai jo kisi subject ko dekhane se aati hai aur kisi ko dekhne se hani aati hai. Aage mai aap ko batana chahunga ki jis subject ko dekhane ichchha aaye use padhne ke liye kisi tarike ki jarurat nahi hoti isme me to sirf ek dhun se lag jata hai ki mai is subject ko kitna jald padhu ya samapt karu taki agle topic ki charcha ko dekh saku.
Aap kuch logo ko kahte hui suna hoga ki subah 4 baje padhai karne par jayada yad hota hai aur jayada man lagta hai, par mai aise logo ko mai sirf yahi puchna chahunga ki jis samay sone ka samay hota hai us samay me aakhen phare, nind se bhari aakhon se kaise patha ja sakta hai.
Aage mai yahi kahna chahunga ki dosto padhne sabse achachha tarika wahi jis samay aap, apne aap ko fresh mahsus karte ho aur us topic ya subject ke prati aap me padhne ki prayapt ichachha sakti jagrit ho, chahe wah subah ke 4 baje jo ya rat ke 12 bje. Mai un sabhi mata pita ko sujhao dena chahunga ki aap apne bachche ko padhne ke tariko me nahi uljhaye, unhe padhne ke liye prerit kare, samay ki pabandiyo me nahi bandhe. Kyoki jb unhe prena milegi to wah khud hi padhne ko prerit hoge.
Earn Part Time from PTC Sites

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages