Dosto Pratiyogita Parichha ki taiyari karna ek muskil kam aur isme kari mehnat aur lagan se safalta milti hai. Hum sabhi aksar dekhate hai ki kuch vidhayarthi parichha ke samay me hi padhte hai, jab form ka date nikal jate hai to kitabe kharidate hai aur us anjan safer ki or chalte hai jiska lakshya nirdharan unhone kiya hi nahi. Ab aage aap sabhi ko pata hai ki jis raste ka lakshya nirdharan nahi us raste par hum kitna der chal sakte hai, jis raste ka hi nahi pta ki hume kitni duri chaalni hai.
Dosto aage mai yah batana chahuga ki koi bhi bada kam ek din me nahi kiye ja sakte, thik usi tarah kisi Pratiyogita Parichha ki taiyari ek din ya ek mahina me nahi kiya ja sakta. Agar Paricha ki taiyari ek din me ho pati to aaj jo vidhayarthi lakho me hai wah karoro me hote. mere kahne ka matlab kisi aakre se nahi hai ya kisi tarah ka dar paida karne se nahi hai, mere kahne ka ekmatra maksad parichha nikalne se sambandhit jaruri bato se hai.
Dosto jaruri yah nahi ki aap padh rahe hai, jaruri yah hai ki aap kis tarah padh rahe hai. Agar aap waise vidhayarthiyo me se hai jo sirf parichha ke samay me padhte hai ya phir waise vidhayarthyo me hai jo bina phal ki chinta kiye nirantar apni taiyari me lage huye hai. Ab aap ye to samajh chuke honge ki kiski naukari jald hogi. Aap ke dil se yahi aawaj aaygi ki jo nirantar apni padhai me lage huye hai. Aapne Khargosh aur Kachhua ki kahani suni hongi, Khargosh tej chal kar thak kar baith jata hai par Kachhua apni gati se lagatar chalta rahata hai aur ant me Khachhua ki chal dhire hone ke bawjud jit Kachhua ki hoti hai. To dosto hum sabhi ko tej na chal dhire hi sahi par lagatar chalna hoga tabhi hum apni safalta tak pahunch payenge.

Aage ek aur chij dekhne ko milti hai ki koi bhi vidhayarthi ek Parichha ki taiyari nahi karta wo peon se lekar IAS tak ki sabhi Pratiyogita Parichhao ki taiyari ek sath karta hai, is karan se wah apne lakshya se bhatak jate hai aur unhe ek lamba andhkar ko jhelna padta hai. Isliye dosto mere anusar ek lakshya ko target kar taiyari karni chahiye, taki jis taiyari me hume 6 mahine ka samay dena hai uske liye hume 1 sal ya 2 sal ke bhatkao ka samna na karna pade.
No comments:
Post a Comment